Monday, 25 January 2021

गणतंत्र दिवस

स्वतनत्र है हम आज
स्वाधिन है हम आज
आतमनिभर है हम आज
इक झूट है हम आज
विश्व के सबसे बड़े लोकतंत्र है हम आज
विश्व को covid के समय से उबारने वाले है हम आज
सीमा पर खडे सपूतो के माँ बाप के साथ है हम आज
घर से निकल कर दूनिया में नाम रोशन करने वाली हर लडकी के साथ हम आज
सीरम इंस्‍टीट्यूट एवं भरत बायोटेक के जनक है हम आज
देश के प्रति गोरवान्वित है  हम आज
धरती, आकाश, जल एवं आग पे राज करने वाले टी -90 टैंक के स्वामी है हम आज
आज हम एक गणतंत्र राष्ट्र है
आज हम स्वंतत्रता से जीते है
आज हम वो कर सक्ते है जो हम चाहते है
इसका पूरा श्रेय जाता है सीमा पर खडे जवानो को
केन्द्रीय रिज़र्व पुलिस बल`, पुलिस, स्वास्थ्य कर्मी ,  एवं प्रत्येक भारतीय नागरिक को जिसने प्रत्यक्ष एवं अप्रत्यक्ष रूप से भारत एवं भारत के स्वाभिमान को टूटने नहीं दिया

में खुद को धन्य महसूस करता हूँ कियोकि में विशाल जोशी, सीनियर असिस्टेंट कमांडेंट 
तटरक्षक बल का बहुत अच्छा दोस्त हूं। एवम में योग्यता शर्मा (वायु सेना) या हितेश कुमार (वायु सेना) को जानता हूं।

ये सब भारतीय सेना में कार्यरत है, एवं हमें सब पर गर्व है|

सभी को गणतंत्र दिवस मुबारक हो

- रोहित गुप्ता

Saturday, 9 January 2021

Paani

Yo,
Pani, jal, neer bahut naam hai iske, bahut kaam hai iske
kabhi ye aakho se aansu ban baahar aata hai
kabhi se mehnnnat ka sabut bun behta hai
kabhi ye pyaas bun bujh jata hai
kabhi ye garv to kabhi khushi bun behta hai
kabhi ye gandgi saaf kar deta hai
kabhi ye rann ko samdar kar deta hai
kabhi ye garmi ko hara kar thandak deta hai
kabhi ye khud thand jada bunn humari kapkapi chudha deta hai
kabhi ye falso ko uga deta to
kabhi ye salab bunn sab baha deta hai
kabhi ye varsa bunn dhanti ki pyas bhuja deta hai
kabhi ye fanna ho jamin ko rahistan buna deta hai

Thursday, 9 January 2020

Zindagi

Yo,
Zindgi ka safar hai ye kaisa safar, koi jana nhi koi pehchana nhi
Kabhi to ek pal mein paraye apne ho jate hai, to kabhi apne paraye
Kabhi khoon k rishte dhokha de jate hai, to kabhi samaajik rishte vafa kar jate hai
Kabhi ek pal mein zindagi badal jati hai, humne zammi se Aasmaan kar jati hai, to kabhi tarao ko bhi zammi pe le aate hai
Kabhi saat samundar paar bethe log aapke ho jate hai, to kabhi 7 ghar paar vale log aapke apno k
Kabhi dosti ko pyaar me badal deti hai ye zindagi, to kabhi dosti to dushmani mein
Kal tak jo dost ek dusre ko jodh the, aaj vo hi ek dusre ko todh rahe hai
Jo kal tak ek dusre ka bhala chahte the, aaj ek dusre k barbaad hone ki dua maangte hai
Kal tak jo log ek dusre ki rah mein phool bann k biche huye the, vo aaj ek dusre ki manjil ko tabaah karne mein lage hai
Kal tak jo ek sath har ek mushkill se ladhe the, aaj vo ek dusre k liye sabse badhe naasor hai
Yr safar hai kaisa safar

Wednesday, 8 January 2020

Mehboob

Yo,
Mehboob ki gali mein khade hokar humne unko anpe dill ka haal bataya
Mehboob ne "dost" samjh kar humme apna dill khol kar dikhaya
Dil ko dekh hum ro padhe kyoki vha mehboob k mehboob ki tasveer this jo hazar tukhdho mein tuti padhi thi
Humne tasveer k tukdhe samete Or mehboob ko apni tasveer di, dil mein rakhne ko
Mehboob ne kha tasveer k sath mera dil bhi toote gya, 
Koi apna tha jo humme loot gya, dobara pyaar hum kar nhi payenge
Kisi or ki tasveer ko hum apna na maan payenge
Ye sunn apna dil toot gya, sapna jo mehboob k sath hone ka tha vo tut gya
Mehboob ki mohobat na mili to janaab na sahi, humne dosti ka farz nibhaya uske tutey dill ko humne apne dosti k fevicol se chipkaya
Aaj bhi uske dil mein kuch tasveer k hisse baki hai, tute huye ristey ki kuch yaad baki hai
Aie maula mere meri iltiza sunn le chahe meri jaan lele per mere mehboob ko uski khushiyaan dede

Sunday, 4 August 2019

Frndship Day

Yo,
Dost yaar mitra ye kuch prayvachi hai jo uss insaan ki vyakhya karte hai
Jo bure waqt mein aapko sambhalta hai
Ache waqt mein aapke sath khushiyaan battey hai
Aapki sabse jayada Or sabke saamne besti karta hai
Aapke peeth k piche aapke liye khadhe rehte hai
Aapko apni jaydaad samjhta hai
Insaano ki tarah na mill k jaanwaron ki tarah milta hai
Jo aapke har glat kaam mein aapke barabar ka bhagidaar hota hai
Jo jis din chahe aapki ek chalchitra ko duniya ko dikha kar kabhi bhi aapki zindigi mein bhuchaal la sakta hai
Ye vahi hai jisse hum mahila ya purush mita bunte hi bhul jate hai
Ye vahi hai jo unke jaane k baad aapko kandha deta hai
Ye vahi insaan hai jo aapke dwara kiye har bure ya ache kaam ke zimmedar hai

Umeed karta hu aapke ziman mein bhi aisa koi hoga

Mere ziman mein dost ki paribhaasha ki vkhya aap ho

Happy Frndship day to you🤪🤘🤩

Friday, 15 March 2019

Nisha ka Janamdin

Yo,
Nisha Meri Best frnd
Vo dost jiske kehne pe mene class bunk ki
Vo dost jiske kahne pe mene bus stand pe wait kiya
Vo dost jo agar campus na aaye to mein bhi nhi aata tha
Vo dost jiske sath ne meri team ko hyderabad pahunchaya
Vo dost jo har mushkil mein sath thi
Vo dost jisne khud bahut kuch sehn kiya
Par mujhe kabhi akela mehsoos nhi hone diya
Humari dosti mein aisa tym bhi aaya jab mene usse 1 mahina baat nhi ki
Par dosti ab bhi kayam hai
Ab hum milte nhi
Baat karne k liye bhi ab bahane chahiye hote hai
Shayad isse hi waqt ka khel kehte hai
Kabhi hum aise hi bahut tum tak batein karte the
Vo alag raah per hai mein alag raah per
Vo pyaar mein dhoka kha chuki hai
Mein pyaar dhundh raha hu
Vo toot k judh chuki hai
Mein abhi tak khud ko jhodh rha hu
Vo.....
Nisha meri best friend...

Saturday, 9 March 2019

Hindustan ki sapoot

Yo,
Salaam e watan, salaam e watan
Salaam e watan bol ke shaheed ho gya mera pyaar
Salaam e watan bol k sheed ho gya mera pyaar
Chala gya vo dosti todh k
Chala gya vo apne pyaar ko rota chodh k

Vo kisi ka beta, kisi ka bhai, kisi ka pita to kisi ka sab kuch tha
Vo dilo mere tere , dillo me mere bharat mata k sache spoot k ruk mein basta tha
Aatank or humare beech ko diwar ki tarah khadha
bharat mata ko aatank ki zanziro se aazad karunga iss baat pe adha tha
Raato ko Seema per khand k khilaf
Din mein garmi ki khilaf
Kabhi gadari karte apno k khilaf dut k khudha tha
Dard ko dard dene vala jazaba
Maut ko maut dene vali himmat
Akele hi 100 ko dher kar de aisi takat
Ye tha mera yaar, ye tha mera pyaar
Sarhad pe khada hai,
ek hath mein granade,
ek hath mein ak-47,
peeth per anti tank mines,
chhati pe land mines,
gale mein sohaarth ka sandesh
Yeh mera yaar, aisa hai mera pyaar

Sunday, 9 September 2018

Shikshak divas

Yo,
Shikshak ki den hai shiksha,
Rakshak ki den hai raksha,
Shikshak hi rakshak,
Rakshak hi shikshak,

Shikshak jiwan me bahut mehtvpund hai,
Mere shikshak guno se pari pun hai,

Shikshak jiwan ka ek Abhinay ang hai
Jiwan k her modh per unki di shiksha humare sang hai,

Shikshak k bahut roop hai,
Kabhi mata, kabhi pita, kabhi bhai, kabh behan, kabhi sathi, kabhi nate rishtedar, kabhi dost, kabhi "dushman",

Sabhi me nihit ek shikshak hai,
Sabhi me nihit ek rakshak hai,

Shikshak me bhara gyaan ka bhnadhar hai,
Shikshak ki mahima aprampaar hai....

Wednesday, 14 March 2018

Hindi Shayaru

Yo,
zindigi me mushkillo ka samana ker k to dekh,
ufanti nadi pe yatra ker k to dekh,
aag ko chu k to dekh,
zindigi ko sheh or maat k khel me haara k to dekh,

koi mushkill tujhe jala nhi payegi,
ko nadi tijhe duba mhi payegi,
koi aag tujhe dard se tardpa nhi payegi,

himmat himalaya k saman sthir hoti hai,
takat jal k saman chanchal,
mehnnat kalpvriksh k samaan humesha fuldai hoti hai,
chahat ret k saman hath se fisal jati hai,
kasme vade smay ki aag me bhasm ho jate hai,

tera iss jag m tu hi hai,
tera iss jag me sab kuch hai,
tu sab kuch paa jata hai,
tera sab kuch ek pal me kho jata hai,
mitti ka der ek din mitti me mill ek fuk se udh jata hai,

sam daam dand bhed k jaal se nikal,
bhiksha me tu gyan prapt ker,
daan me apna sarvasv tu nichavar ker,

Saturday, 30 December 2017

hindi shayari

Yo,
sapno k sath jina chahe ye zindigi
sapno ko pura kerna chahe ye zindigi
apno ko apne sath rakhna chahe ye zindigi
dil ki her cchah ko pura kerna chahe ye zindigi
mushkillo ko angutha dikhana chahe ye zindigi

kuch yu bhi kha gya hai
zindigi ki shma maut se pehle funna nhi hoti
kagaz pe likhe jane bina dastan jawaan nhi hoti

chal rahi zindigi angaro k pankh laga k
udh rahi zindigi armano ki padhukaye pehn k
zindigi chahe udhna par chal rahi hai
zindigi chahe bhagna par reng vo rahi hai

diwali

Yo,

Aao milke manaye diwali,
Aao milke laye khushhali

Jag mag jag mag dipo wali diwali,
Bacho ki hussi wali diwali,
Roto ko husati diwali,
Berozgar ko rozgar deti diwali,
Aao milke manaye diwali

Ram k vanvas ka udyapan ho rha,
Hanuman ko unke ram rajay ka darshan ho rha,
Maa laxmi k narkasur ki ked me bitey lamho ka ant ho rha
sab khusiyo ki dhun me manate diwali,
Aao milke manaye diwali

Gopiyo k san ras lela kerte krishan,
Nache narad mangan narayan dhun me,
Nachu me bun meera apne ishwar ki lagan me,
nache gaye jhume sansaar,
Aao milke manaye diwali

dhanteras bann vaypariyo k mann ko hurshaye ye diwali,
bazaro ki ronak budhaye diwali
narkasur ki haar or 16000 nariyo ki azadi ko narakchturdharshi k roop me munaye ye diwali,
inder k chaknachur huye ahankaar ko dekh hurshaye diwali
govardhan manye diwali,
behno ko bhaiyo se bhai dujh k riste me bandh jaye diwali,
aao milke manaye diwali

hindi shayari

Yo,
nav jiwan ki ye shuruat hai,
hui ek naye si baat hai,
hum tum sab mill ker naye sapne bunn rahe,
kuch apne to kuch dusro k sapno ko apna maan bunn rahe,
bahut aashao k sath aaye hai hum tum yaha,
kisi ki asha sarkari kaamkaaj,
to kisi ki apni dill ki awaaz,
koi chahe prasidhi pana,
to koi desh per kud ko mitana,
kisi ki chah shodh ker avishkaar kerna,
to kisi ki apne mata pita ki lathi bunna,
kisi ke mann me स्नातकोत्तर ho apne karayshetra me aage badhna hai,
to kisi ko apne pankh fella ker aakash me bina rok tok udhna hai,
koi स्नातकोत्तर ho ker chahe ki usse apne karaylalay me पदोन्नति prapt ho,
inhi aashao ko sanjo ker hum tum aaye hai,
puri her ek hi asha hogi,
sapna her ek ka sakar hoga,
per kitna jaldi ya kitni der se,
ye na tum jano na hum,
ye vo karm nishchit karenge,
ye vo mehnant nishchit karegi,
jo hum tum apne sapno, apne apno,
apni asha, apni bhasha k prati karenge,

sabhi ko unke aane vale jiwan k liye meri taraph se hardik shubhakamnaye

Wednesday, 30 August 2017

Hindi Shayari

Yo,
zindigi ka rukh badalate der nhi lagti
shaam se saver hone me der nhi lagti
jiwan mirtyu k beech ka fasala kab ek inch ho jata hai
kab ek insaan iss duniya ko chodh
apne pariwar ko rota chodh
dosto ki aakho me aasu de k chala jata hai
kal tak jo ziwan ka pratik tha
gumo se dur or khushiyo k bahut karib tha
vo jo dusro ko apni muskaan se jina sikhata tha
jo dosto k liye kisi se bhi ladh jata tha
aaj vo humme chodh
her karam her bandhan ko todh chala gya
kuch khwaishey or kuch sapne piche chodh gya

RIP Arnav

Arnav Duggal, one of my school batch mate, jisse mene humesha huste huye hi dekha tha, but ye sunna ki vo nhi raha it is a shock for me.
Although i was not close to Arnav, but i can definitely relate to as how it feels to loose someone,
may god give his family the strength to bare this lose.
And @Avni Duggal we all are with you

Wednesday, 25 January 2017

Hindi shayari

Yo,
naya versh aaya,
nai khushiya laya,

koi naye umeedey bun rha,
to koi apni dill ki aawaaj ko sun rha,
koi aatishbaazi me mast hai,
to koi apni vayadhiyo se grast hai,

bacho ka naya versh laya bahut sare tofe,
to dushto k liye naya versh laya apno k dhoke,

deep jagamaga rahe,
phullo me ajab sa nikhar hai,
geeto k mukhro ko gaa rahe antrey,
hum sab naye versh k liye tyaar hai,

aao mill ker naye versh ka Swagat bahe faila ker kare,
apne badho ko pyaar de,
choto ko dular,
desh k shaheedo ki kurbani ko dhyaan me rakh ker hum kere unhe baar baar namsar,

maa ko uski mamta k liye shukriya kare,
pita ko unke kabhi na haar manne vale jazbey k liye kare hum namsar,
behno ko uski rakhi k liye hum de bahut saa dular,
bhai ko unki humare prutti kare huye dular ko kare hum pyaar,

aao mill ker bunna de isse ek tyoohar,
hum tum sab mill jaye khtam kere ye atyachar,

aaj naye versh per aao mill ker nischay kere nhi karenge hum bhedbaav,
nhi karenge hum beymani,
nhi karenge choori,
naa hi muhjori, na hi kaamchori,
nhi karenge hum ghooskhori,

milker bunayenge iss Bharat ko durgami,
aao "Mitro" bunn jaye hum humjoli,
or yu hi falti fulti rhe ye teri meri ye hindustaniyo ki ye fulvari,

nav versh yuhi sabki k jiwan ko mehkata reh,
sabko unki zimmedario ka ehsaas dilata reh,

sab ko uchaiyo tak pahucha de,
or unki hur khuyaish ko puri kere k takat de,
yahi meri kaamna hai

meri tarph se aapko avem aapke privaar ko nave verah ki haardik shubhkaamnaye....

Hindi shayari

Yo,
Insaan iss duniya me bahut Akela hai
hai uske aas pass Pura Jahan,
per ek khuda nhi hai,

hoker paisa anginat,
khushi ki bahut badhi kami hai,
hoker 1000 dost,
sache dost ki kami usse humesha Khali hai,
kehne ko to Insaan k bahut dost hai,
per ek ache dost ki kami hai
jisse vo apna dukh bta sake,
Jo uske dard ko ghata sake,
Jo ache waqt me uske sath husta hai,
vahi bure samay me sath rota hai,
vo Jo tujhe samjhta hai,
vo Jo tujhe husane k liye khud pe husta hai,
duniya kitni badhi hai
per phir bhi Insaan ki tanhaiyo se hi bunni hai

Rohit hone ko to her koi tera dost hai,
per Kya tu maane ki inme se koi bhi tera Sacha or acha dost hai....

Diwali

yo,
aaj sab mill ker diwali manaye,
khushio k deepak her ghar me jalaye,

fulhrio k sitaro ko aasman me iss kader bikhere ki her andhera chut jaye,
taki rashni hur andhere ko kaat paaye,
aao hum diwali manaye

un jawano k balidano ko hum natmastak ho prnaam ker aaye,
sarhad per khade her jawan k ghar per hum mithaiya de ker aaye,
aao hum sab diwali manaye

her gilla shiksha hum aaj bhul jaye,
pardushan k rakshash ko hum dur bhagaye,
aao hum sab diwali manaye

muslim bahiyo ko hum sewaiya khilaye,
issai bhaiyo k liyr hum church me candle jalaye,
shikh bhaiyo k sath jaker hun gurudware me sewa ker k aaye,
bhaichare or ekta k hum phul khilaye,
aao hum sab diwali manaye

diyo ki jagmag roshni me padhne vale bacho ko hum bizli ka uphar de ker aaye,
sadak pe so rahe beghar logo ko hum kambal ka daan ker aaye,
aao hum sab diwali manaye.....

Hindi Shayari

Yo,
Jagmaj jagmaj deep jale hai,
Jagmaga raha hai sansaar,
Iss matvali rut k sath chal chale mere yaar,

Deepavali ka aaya hai tyohaar,
Sab masti me jhum rahe,
Garba san ghum rahe,

Jagmaj jagmaj deep jale hai,
Jagmaga raha hai sansaar,
Iss matvali rut k sath chal chale mere yaar,

Ram ho lanka vijayaei lot rahe,
Khushi me duba hai sara sansaar,

Jagmaj jagmaj deep jale hai,
Jagmaga raha hai sansaar,
Iss matvali rut k sath chal chale mere yaar,

Sare jag k palanhaar virajmaan lekar Lakshman, Sita avam hanuman iss Dawar,

Jagmaj jagmaj deep jale hai,
Jagmaga raha hai sansaar,
Iss matvali rut k sath chal chale mere yaar...

Wednesday, 3 September 2014

Hindi shayari

Yo,
Shikshak koi aam nhi khas hota hai,
Hum sabki zindigi me kuch khas hota hai,

Shikshak hume gyan deta hai,
Shiksha ka amulya vardaan deta hai,
Shikshak aam ko khas bunata hai,
1 aadharhin ko khadha hona sikhata hai,

Shikshak kuch khas hota hai,
Dil ke pass hota hai,

Shikshak maa ki tarah dular kerta hai,
Baap ki tarah daat deta hai,
Bhai ki tarah her mushkil se raksha kerta hai,
Behan ki tarah her raaj ka raajdaar hota hai,

Shikshak kuch khas hota hai,
Dil ke pass hota hai,

Shikshak surya dev ki tarah tejusvi hota hai,
Ram ki tarah muryadavaan hota hai,
Kuran-e-shariph ki tarah pak hota hai,
Yeshu ki tarah shikshak ka dil saaf hota hai,

Shilshak kuch khas hota hai,
Dil ke pass hota hai,

Shikshak krishna ki tarah hume dhurm sikhata hai,
Gautum budh ki tarah hume sansarik such se ruburu kervata hai,
Shikshak guru ki gurbani hota hai,
Mohomad ki kalam se likhi kahani hota hai,

Shikshak kuch khad hota hai,
Dil ke pass hota hai,
Shikshak...

Tuesday, 19 August 2014

Dill ki icha

Yo, hindi ki jiwani page ko pls jayda se jayada share kariye

Monday, 18 August 2014

Hindi shayari

Yo,
Duniya me musibto se bhare ghum bhut hai,
Khushiyo se bhari rahe mudhum hai,
Rukavto se bhari rahe to jaise humari humdum hai,
Per phir bhi husrato bhari rahte
deti hosla humme hur dum hai,
Zindigi ki gari chal rahi kuch mudhum hai.
.
.
written by
Yo, Rohit