Wednesday 8 January 2020

Mehboob

Yo,
Mehboob ki gali mein khade hokar humne unko anpe dill ka haal bataya
Mehboob ne "dost" samjh kar humme apna dill khol kar dikhaya
Dil ko dekh hum ro padhe kyoki vha mehboob k mehboob ki tasveer this jo hazar tukhdho mein tuti padhi thi
Humne tasveer k tukdhe samete Or mehboob ko apni tasveer di, dil mein rakhne ko
Mehboob ne kha tasveer k sath mera dil bhi toote gya, 
Koi apna tha jo humme loot gya, dobara pyaar hum kar nhi payenge
Kisi or ki tasveer ko hum apna na maan payenge
Ye sunn apna dil toot gya, sapna jo mehboob k sath hone ka tha vo tut gya
Mehboob ki mohobat na mili to janaab na sahi, humne dosti ka farz nibhaya uske tutey dill ko humne apne dosti k fevicol se chipkaya
Aaj bhi uske dil mein kuch tasveer k hisse baki hai, tute huye ristey ki kuch yaad baki hai
Aie maula mere meri iltiza sunn le chahe meri jaan lele per mere mehboob ko uski khushiyaan dede

No comments:

Post a Comment