Yo,
nav jiwan ki ye shuruat hai,
hui ek naye si baat hai,
hum tum sab mill ker naye sapne bunn rahe,
kuch apne to kuch dusro k sapno ko apna maan bunn rahe,
bahut aashao k sath aaye hai hum tum yaha,
kisi ki asha sarkari kaamkaaj,
to kisi ki apni dill ki awaaz,
koi chahe prasidhi pana,
to koi desh per kud ko mitana,
kisi ki chah shodh ker avishkaar kerna,
to kisi ki apne mata pita ki lathi bunna,
kisi ke mann me स्नातकोत्तर ho apne karayshetra me aage badhna hai,
to kisi ko apne pankh fella ker aakash me bina rok tok udhna hai,
koi स्नातकोत्तर ho ker chahe ki usse apne karaylalay me पदोन्नति prapt ho,
inhi aashao ko sanjo ker hum tum aaye hai,
puri her ek hi asha hogi,
sapna her ek ka sakar hoga,
per kitna jaldi ya kitni der se,
ye na tum jano na hum,
ye vo karm nishchit karenge,
ye vo mehnant nishchit karegi,
jo hum tum apne sapno, apne apno,
apni asha, apni bhasha k prati karenge,
sabhi ko unke aane vale jiwan k liye meri taraph se hardik shubhakamnaye
No comments:
Post a Comment