Saturday 9 January 2021

Paani

Yo,
Pani, jal, neer bahut naam hai iske, bahut kaam hai iske
kabhi ye aakho se aansu ban baahar aata hai
kabhi se mehnnnat ka sabut bun behta hai
kabhi ye pyaas bun bujh jata hai
kabhi ye garv to kabhi khushi bun behta hai
kabhi ye gandgi saaf kar deta hai
kabhi ye rann ko samdar kar deta hai
kabhi ye garmi ko hara kar thandak deta hai
kabhi ye khud thand jada bunn humari kapkapi chudha deta hai
kabhi ye falso ko uga deta to
kabhi ye salab bunn sab baha deta hai
kabhi ye varsa bunn dhanti ki pyas bhuja deta hai
kabhi ye fanna ho jamin ko rahistan buna deta hai

No comments:

Post a Comment