Saturday 30 December 2017

hindi shayari

Yo,
sapno k sath jina chahe ye zindigi
sapno ko pura kerna chahe ye zindigi
apno ko apne sath rakhna chahe ye zindigi
dil ki her cchah ko pura kerna chahe ye zindigi
mushkillo ko angutha dikhana chahe ye zindigi

kuch yu bhi kha gya hai
zindigi ki shma maut se pehle funna nhi hoti
kagaz pe likhe jane bina dastan jawaan nhi hoti

chal rahi zindigi angaro k pankh laga k
udh rahi zindigi armano ki padhukaye pehn k
zindigi chahe udhna par chal rahi hai
zindigi chahe bhagna par reng vo rahi hai

diwali

Yo,

Aao milke manaye diwali,
Aao milke laye khushhali

Jag mag jag mag dipo wali diwali,
Bacho ki hussi wali diwali,
Roto ko husati diwali,
Berozgar ko rozgar deti diwali,
Aao milke manaye diwali

Ram k vanvas ka udyapan ho rha,
Hanuman ko unke ram rajay ka darshan ho rha,
Maa laxmi k narkasur ki ked me bitey lamho ka ant ho rha
sab khusiyo ki dhun me manate diwali,
Aao milke manaye diwali

Gopiyo k san ras lela kerte krishan,
Nache narad mangan narayan dhun me,
Nachu me bun meera apne ishwar ki lagan me,
nache gaye jhume sansaar,
Aao milke manaye diwali

dhanteras bann vaypariyo k mann ko hurshaye ye diwali,
bazaro ki ronak budhaye diwali
narkasur ki haar or 16000 nariyo ki azadi ko narakchturdharshi k roop me munaye ye diwali,
inder k chaknachur huye ahankaar ko dekh hurshaye diwali
govardhan manye diwali,
behno ko bhaiyo se bhai dujh k riste me bandh jaye diwali,
aao milke manaye diwali

hindi shayari

Yo,
nav jiwan ki ye shuruat hai,
hui ek naye si baat hai,
hum tum sab mill ker naye sapne bunn rahe,
kuch apne to kuch dusro k sapno ko apna maan bunn rahe,
bahut aashao k sath aaye hai hum tum yaha,
kisi ki asha sarkari kaamkaaj,
to kisi ki apni dill ki awaaz,
koi chahe prasidhi pana,
to koi desh per kud ko mitana,
kisi ki chah shodh ker avishkaar kerna,
to kisi ki apne mata pita ki lathi bunna,
kisi ke mann me स्नातकोत्तर ho apne karayshetra me aage badhna hai,
to kisi ko apne pankh fella ker aakash me bina rok tok udhna hai,
koi स्नातकोत्तर ho ker chahe ki usse apne karaylalay me पदोन्नति prapt ho,
inhi aashao ko sanjo ker hum tum aaye hai,
puri her ek hi asha hogi,
sapna her ek ka sakar hoga,
per kitna jaldi ya kitni der se,
ye na tum jano na hum,
ye vo karm nishchit karenge,
ye vo mehnant nishchit karegi,
jo hum tum apne sapno, apne apno,
apni asha, apni bhasha k prati karenge,

sabhi ko unke aane vale jiwan k liye meri taraph se hardik shubhakamnaye

Wednesday 30 August 2017

Hindi Shayari

Yo,
zindigi ka rukh badalate der nhi lagti
shaam se saver hone me der nhi lagti
jiwan mirtyu k beech ka fasala kab ek inch ho jata hai
kab ek insaan iss duniya ko chodh
apne pariwar ko rota chodh
dosto ki aakho me aasu de k chala jata hai
kal tak jo ziwan ka pratik tha
gumo se dur or khushiyo k bahut karib tha
vo jo dusro ko apni muskaan se jina sikhata tha
jo dosto k liye kisi se bhi ladh jata tha
aaj vo humme chodh
her karam her bandhan ko todh chala gya
kuch khwaishey or kuch sapne piche chodh gya

RIP Arnav

Arnav Duggal, one of my school batch mate, jisse mene humesha huste huye hi dekha tha, but ye sunna ki vo nhi raha it is a shock for me.
Although i was not close to Arnav, but i can definitely relate to as how it feels to loose someone,
may god give his family the strength to bare this lose.
And @Avni Duggal we all are with you

Wednesday 25 January 2017

Hindi shayari

Yo,
naya versh aaya,
nai khushiya laya,

koi naye umeedey bun rha,
to koi apni dill ki aawaaj ko sun rha,
koi aatishbaazi me mast hai,
to koi apni vayadhiyo se grast hai,

bacho ka naya versh laya bahut sare tofe,
to dushto k liye naya versh laya apno k dhoke,

deep jagamaga rahe,
phullo me ajab sa nikhar hai,
geeto k mukhro ko gaa rahe antrey,
hum sab naye versh k liye tyaar hai,

aao mill ker naye versh ka Swagat bahe faila ker kare,
apne badho ko pyaar de,
choto ko dular,
desh k shaheedo ki kurbani ko dhyaan me rakh ker hum kere unhe baar baar namsar,

maa ko uski mamta k liye shukriya kare,
pita ko unke kabhi na haar manne vale jazbey k liye kare hum namsar,
behno ko uski rakhi k liye hum de bahut saa dular,
bhai ko unki humare prutti kare huye dular ko kare hum pyaar,

aao mill ker bunna de isse ek tyoohar,
hum tum sab mill jaye khtam kere ye atyachar,

aaj naye versh per aao mill ker nischay kere nhi karenge hum bhedbaav,
nhi karenge hum beymani,
nhi karenge choori,
naa hi muhjori, na hi kaamchori,
nhi karenge hum ghooskhori,

milker bunayenge iss Bharat ko durgami,
aao "Mitro" bunn jaye hum humjoli,
or yu hi falti fulti rhe ye teri meri ye hindustaniyo ki ye fulvari,

nav versh yuhi sabki k jiwan ko mehkata reh,
sabko unki zimmedario ka ehsaas dilata reh,

sab ko uchaiyo tak pahucha de,
or unki hur khuyaish ko puri kere k takat de,
yahi meri kaamna hai

meri tarph se aapko avem aapke privaar ko nave verah ki haardik shubhkaamnaye....

Hindi shayari

Yo,
Insaan iss duniya me bahut Akela hai
hai uske aas pass Pura Jahan,
per ek khuda nhi hai,

hoker paisa anginat,
khushi ki bahut badhi kami hai,
hoker 1000 dost,
sache dost ki kami usse humesha Khali hai,
kehne ko to Insaan k bahut dost hai,
per ek ache dost ki kami hai
jisse vo apna dukh bta sake,
Jo uske dard ko ghata sake,
Jo ache waqt me uske sath husta hai,
vahi bure samay me sath rota hai,
vo Jo tujhe samjhta hai,
vo Jo tujhe husane k liye khud pe husta hai,
duniya kitni badhi hai
per phir bhi Insaan ki tanhaiyo se hi bunni hai

Rohit hone ko to her koi tera dost hai,
per Kya tu maane ki inme se koi bhi tera Sacha or acha dost hai....

Diwali

yo,
aaj sab mill ker diwali manaye,
khushio k deepak her ghar me jalaye,

fulhrio k sitaro ko aasman me iss kader bikhere ki her andhera chut jaye,
taki rashni hur andhere ko kaat paaye,
aao hum diwali manaye

un jawano k balidano ko hum natmastak ho prnaam ker aaye,
sarhad per khade her jawan k ghar per hum mithaiya de ker aaye,
aao hum sab diwali manaye

her gilla shiksha hum aaj bhul jaye,
pardushan k rakshash ko hum dur bhagaye,
aao hum sab diwali manaye

muslim bahiyo ko hum sewaiya khilaye,
issai bhaiyo k liyr hum church me candle jalaye,
shikh bhaiyo k sath jaker hun gurudware me sewa ker k aaye,
bhaichare or ekta k hum phul khilaye,
aao hum sab diwali manaye

diyo ki jagmag roshni me padhne vale bacho ko hum bizli ka uphar de ker aaye,
sadak pe so rahe beghar logo ko hum kambal ka daan ker aaye,
aao hum sab diwali manaye.....

Hindi Shayari

Yo,
Jagmaj jagmaj deep jale hai,
Jagmaga raha hai sansaar,
Iss matvali rut k sath chal chale mere yaar,

Deepavali ka aaya hai tyohaar,
Sab masti me jhum rahe,
Garba san ghum rahe,

Jagmaj jagmaj deep jale hai,
Jagmaga raha hai sansaar,
Iss matvali rut k sath chal chale mere yaar,

Ram ho lanka vijayaei lot rahe,
Khushi me duba hai sara sansaar,

Jagmaj jagmaj deep jale hai,
Jagmaga raha hai sansaar,
Iss matvali rut k sath chal chale mere yaar,

Sare jag k palanhaar virajmaan lekar Lakshman, Sita avam hanuman iss Dawar,

Jagmaj jagmaj deep jale hai,
Jagmaga raha hai sansaar,
Iss matvali rut k sath chal chale mere yaar...