Wednesday, 25 January 2017

Hindi shayari

Yo,
naya versh aaya,
nai khushiya laya,

koi naye umeedey bun rha,
to koi apni dill ki aawaaj ko sun rha,
koi aatishbaazi me mast hai,
to koi apni vayadhiyo se grast hai,

bacho ka naya versh laya bahut sare tofe,
to dushto k liye naya versh laya apno k dhoke,

deep jagamaga rahe,
phullo me ajab sa nikhar hai,
geeto k mukhro ko gaa rahe antrey,
hum sab naye versh k liye tyaar hai,

aao mill ker naye versh ka Swagat bahe faila ker kare,
apne badho ko pyaar de,
choto ko dular,
desh k shaheedo ki kurbani ko dhyaan me rakh ker hum kere unhe baar baar namsar,

maa ko uski mamta k liye shukriya kare,
pita ko unke kabhi na haar manne vale jazbey k liye kare hum namsar,
behno ko uski rakhi k liye hum de bahut saa dular,
bhai ko unki humare prutti kare huye dular ko kare hum pyaar,

aao mill ker bunna de isse ek tyoohar,
hum tum sab mill jaye khtam kere ye atyachar,

aaj naye versh per aao mill ker nischay kere nhi karenge hum bhedbaav,
nhi karenge hum beymani,
nhi karenge choori,
naa hi muhjori, na hi kaamchori,
nhi karenge hum ghooskhori,

milker bunayenge iss Bharat ko durgami,
aao "Mitro" bunn jaye hum humjoli,
or yu hi falti fulti rhe ye teri meri ye hindustaniyo ki ye fulvari,

nav versh yuhi sabki k jiwan ko mehkata reh,
sabko unki zimmedario ka ehsaas dilata reh,

sab ko uchaiyo tak pahucha de,
or unki hur khuyaish ko puri kere k takat de,
yahi meri kaamna hai

meri tarph se aapko avem aapke privaar ko nave verah ki haardik shubhkaamnaye....

Hindi shayari

Yo,
Insaan iss duniya me bahut Akela hai
hai uske aas pass Pura Jahan,
per ek khuda nhi hai,

hoker paisa anginat,
khushi ki bahut badhi kami hai,
hoker 1000 dost,
sache dost ki kami usse humesha Khali hai,
kehne ko to Insaan k bahut dost hai,
per ek ache dost ki kami hai
jisse vo apna dukh bta sake,
Jo uske dard ko ghata sake,
Jo ache waqt me uske sath husta hai,
vahi bure samay me sath rota hai,
vo Jo tujhe samjhta hai,
vo Jo tujhe husane k liye khud pe husta hai,
duniya kitni badhi hai
per phir bhi Insaan ki tanhaiyo se hi bunni hai

Rohit hone ko to her koi tera dost hai,
per Kya tu maane ki inme se koi bhi tera Sacha or acha dost hai....

Diwali

yo,
aaj sab mill ker diwali manaye,
khushio k deepak her ghar me jalaye,

fulhrio k sitaro ko aasman me iss kader bikhere ki her andhera chut jaye,
taki rashni hur andhere ko kaat paaye,
aao hum diwali manaye

un jawano k balidano ko hum natmastak ho prnaam ker aaye,
sarhad per khade her jawan k ghar per hum mithaiya de ker aaye,
aao hum sab diwali manaye

her gilla shiksha hum aaj bhul jaye,
pardushan k rakshash ko hum dur bhagaye,
aao hum sab diwali manaye

muslim bahiyo ko hum sewaiya khilaye,
issai bhaiyo k liyr hum church me candle jalaye,
shikh bhaiyo k sath jaker hun gurudware me sewa ker k aaye,
bhaichare or ekta k hum phul khilaye,
aao hum sab diwali manaye

diyo ki jagmag roshni me padhne vale bacho ko hum bizli ka uphar de ker aaye,
sadak pe so rahe beghar logo ko hum kambal ka daan ker aaye,
aao hum sab diwali manaye.....

Hindi Shayari

Yo,
Jagmaj jagmaj deep jale hai,
Jagmaga raha hai sansaar,
Iss matvali rut k sath chal chale mere yaar,

Deepavali ka aaya hai tyohaar,
Sab masti me jhum rahe,
Garba san ghum rahe,

Jagmaj jagmaj deep jale hai,
Jagmaga raha hai sansaar,
Iss matvali rut k sath chal chale mere yaar,

Ram ho lanka vijayaei lot rahe,
Khushi me duba hai sara sansaar,

Jagmaj jagmaj deep jale hai,
Jagmaga raha hai sansaar,
Iss matvali rut k sath chal chale mere yaar,

Sare jag k palanhaar virajmaan lekar Lakshman, Sita avam hanuman iss Dawar,

Jagmaj jagmaj deep jale hai,
Jagmaga raha hai sansaar,
Iss matvali rut k sath chal chale mere yaar...